Arsaa bhar tujhey yad kiye bin hr lamha guzar gaya..!
Zuban pr shikwa na aaya guzar gaya judai ka har pal..!
Kahani e wafa me logon ny badnam kiya.
Seh gaye teri khatir ruswai ka hr pal...!
Tujh sy shikwa hi nai by qadri e wafa ka
khud be wafa tha seh gaye bewafai ka hr pal...!
Jb bi dekhta hon hasrat bhari nighaon sy takta he
hr lamha nirala ajeeb he tamashai ka hr pal...!
Teri sans sy hi chalti hy sans hamari
aarzo hy nazron my guzray raanai ka har pal...!
Hum to chahtay hain tujhe jan sy barh kar (sair)
janay q tujhe acha lagta he tanhai ka hr pal...!