Add Poetry

Hansi Mein Uraa Gaye

Poet: Bilal By: Muhammad Bilal Shakir, Islamabad

Jo Uter Ker Zeena-E-Sham Se'teri Chashm-E-Khush Mein Sama Gaye
Wohi Jalty Bojhty Se Mehr-O-Ma Meray Baam-0-Dar Ko Saja Gaye

Ye Ajeeb Khel Hai Ishq Ka'mein Ne Aap Dekha Ye Mojza
WO Jo Lafz Mery Guma Mein Thy'wo Teri Zuba Pe Aa Gaye

Ye Charagh-E-Jan Kabhi Jis Ki Loo Na Kisi Hava Se Nagoon Houi
Teri Bewafai K Wasvasy Use Chupky Chupky bujha Gaye

WO Tha Chand Sham-E-Visal Ka'ke Tha Roop Teray Jamal Ka
Meri Rooh Se Meri Aankh Tak Kisi Roshne Mein Naha Gaye

Ye Jo Bandgan-E-Nyaz Hein'ye Tamam Hein Wohi Lashkari
Jinhen Zindagi Ne Panah Na Di'to Tery Hazoor Mein Aa Gay

Teri Berukhi Ke Dyar Mein'mein Hawa Ke Sath Hawa Howa
Teray Aine Ki Talash Mein Meray Khowab Chehra Gawa Gaye

Tery Wasvason K Fishar Mein'tera Sharar-E-Rang Ujer Gaya
Meri Kahishon Ke Ghubar Mein'mery Maah-0-Saal Wafa Gaye

Meri Umer Se Na Simat Saky'mery Dil Mein Itny Sawal Thy
Tery Pass Jitnay Jawab Thay Teri Ik Nigah Mein Aa Gaye

WO Jo Geet Tum Ne Suna Nahi'meri Umer Bher Ka Ryaz Tha
Meray Dard Ki Thi Wo Dastan'jisay Tum Hansi Mein Ura Gaye

Rate it:
Views: 3506
09 Nov, 2007
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets