Har Tamashaaee Faqat Saahil Se Manzar Dekhta
Kaun Daryaa Ko Ulat'ta Kaun Gauhar Dekhta
Aankh Mein Aansu Jarey They Par Sadaa Tujh Ko Na Di
Is Tavaqqo Par Ke Shaayad Tu Palat Kar Dekhta
Meri Qismat Ki Lakeerein Mere Haathon Mein Na Thi
Tere Maathey Par Koi Mera Muqaddar Dekhta
Zindagi Phailee Hui Thi Shaam-E-Hijraan Ki Tarah
Kis Ko Itna Hausla Tha Kaun Ji Bar Dekhta
Doobney Vala Tha Aur Saahil Pe Chehron Ka Hujoom
Pal Ki Mohlat Thi Main Kis Ko Aankh Bhar Kar Dekhta
Tu Bhi Dil Ko Ik Lahoo Ki Boond Samjha Hai Faraz
Aankh Gar Hoti To Qatrey Mein Samandar Dekhta