Kaash Main Tere Hasiin Haath Kaa Kangan Hotaa
Tuu Bare Pyaar Se Bare Chaao Se Bare Aramaan K Saath
Apanii Naazuk Si KalaaIai Mein Charhaatii Mujh Ko
Aur Betaabii Se Furqat K Khizaan Lamhon Mein
Tuu Kisii Soch Mein Duubii Jo Ghumaatii Mujh Ko
Main Tere Haath Ki Khushbu Se Mahak Sa Jata
Jab Kabhi Mod Mein Aa Kar Mujhe Chuumaa Karati
Tere Honthon Ki Shiddat Se Main Dahak Sa Jata
Raat Ko Jab Bhi Tuu Niindon K Safar Par Jaati
Marmarii Haath Kaa Ik Takiyaa Banaayaa Karatii
Main Tere Kaan Se Lag Kar Kai Baaten Karata
Terii Zulfon Ko Tere Gaal Ko Chuumaa Karata
Jab Bhii Tuu Band Qubaa Kholane Lagti Janan
Apanii Aankhon Ko Tere Husn Se Kheraa Karta
Mujh Ko Betaab Saa Rakhataa Terii Chaahat Kaa Nashaa
Main Terii Ruuh K Gulashan Mein Mehakta Rehta
Main Tere Jism Ke Aangan Mein Khanakta Rehata
Kuchh Nahi To Yahii Benaam Saa Bandhan Hota
Kaash Main Tere Hasen Haath Ka Kangan Hota