Add Poetry

Hayyat Guzzar Jae

Poet: Nida By: Nida, Lahore

Haalaat Nay Is Qadar Hasass Bana Diyya
Khud Hi Apnay Khayyalaat Pay Naqab Laga Diyya
Dil Say Kaha Bus Ker Ab Chahna Chorh Day
Umeed Kerna Baat Be Baat Machalna Chorh Day
Per Ab Ye Man Apnay Bus Main Raha Nahi
Her Lamha Mujh Ko Kehta Hai Kay To Soch To Sahi
Aisa Nahi Kay Ab Tujhay Us Say Muhabbat Nahi
Uon To Chahat Mai Uski Bhi Kuch Khass Kami Nai
Jattay Hue Zayyada Nahi Per Wo Baykarrar Tha To Sahi
Dekha Jae To Ghalti Teri Khud Ki Bhi Kam Nahi
Bhullana Chahti Hai To Dil Say Bhulla Usko
Saari Tasveerain Or Khat Nikkal Jala Unko
Per Ye Naadaan Kyya Samjhay Itni Sakat Mugh Main Kahan
Wo Hamsafar Na Ban Saka To Yaadon Ka Sahara Liyya
Phir Kehta Hai Uski Yaad Main Kun Neenain Kharrab Kerti Hai
Usay Duaon Main Maangti Hai Mayyaos Ho Ker Doobara Aas Kerti Hai
Usay To Tera Ahsaas Bhi Nahi Aey Paagal Larki
Aankh Band Kerti Hai To Uska Chehra Nazar Aata Hai
Uska Tassavor Kerti Hai Or Khud Say Baatain Kerti Hai
Usko To Tera Ahsaas Bhi Nahi Aey Paagal Larki
Or To Hai Uski Yaad Mai Na Jeeti Hai Na Merti Hai
Per Ye Man Kabhi Meri Bhi To Sunnay
Koi To Aisa Ho Jo Meray Khayyalaat Ki Bandish Keray
Main Usko Dil Say Bhool Jaon
Wo Meray Liye Baichain Rahay
Raat Din Tarhpay Wo Roay Na Jiye Na Maray
Mai Apnay Haathon Say Uski Yaadain Dafan Kerun
Wo Siskiyyan Lay Mai Hasson
Uskay Zakhmon Per Namak Chirhkon
Wo Itni Muhabbat Keray Kay Ishq Ban Jae
Mai Itni Nafrat Keron Kay Usay Ibraat Ho Jae
Phir Wo Jalay Wahin
Usi Jaga Usi Karhakti Dhoop Mai
Jahan June Kay Mahinay Main Mai
Uska Intazzar Kiyya Kerti Thi
Wo Kehta Tha Bus Ker Ab Mera Peecha Chor Day
Or Mai Her Din Nai Nae Umeed Nai Aas Kiyya Kerti Thi
Phir Wo Jae Usi Daryya Kay Kinnaray
Jahan Phainki Thi Usnay Bayderdi Say Wo Itr Ki Bottal
Jo Mai Nay Di Thi Usko
Barhay Chao Say Barhay Maan Say
Armaan Say Or Payyar Say
Phir Paaglon Ki Tarha Wo Bheegay Uskay Paani Main
Kay Shaeed Kahin Say Aae Usko Us Payyar Ki Khushboo
Kaatay Wo Dargaah Kay Chakkar Maangay Mughay Duaaon Main
Waisay Jaisay Uskay Liye Main Ibbaddat Kerti Thi
Phir Kaash Aisa Ho Aey Dil
Patjharh Kay Mausam Main
Halki Boonda Baandi Main
Mughay Yaad Kerta Hua
Uddasiyyon Ki Chaon Main Chalta Hua
Wo Mujhay Mil Jae
Bhool Jain Hum Saaray Gham
Uddassiyyan Or Pareshaaniyyan
Baywaffaiyaan Or Tanhaaiyyan
Wo Meray Aansuoon Kay Moti Jama Keray
Or Main Uskay Zakhmon Ka Marham Ban Jaon
Phir Younhi Haath Pakrhay Pakrhay
Baatain Kertay Kertay
Door Nikal Jaen,Gum Ho Jaen Hum Apnay Payyar Ki Dunya Main
Aik Doosray Kay Saath
Ya Phir
Aey Dil Aisa Ho Jae Kay
Hayyat Guzzar Jae Ussay Chahtay Chahtay
 

Rate it:
Views: 866
21 Oct, 2008
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets