Jab Bhi Dekha Usko Maine
Poet: Shamsul "ShamS" By: Shamsul Hasan, New DelhiJab Bhi Dekha Usko Maine
 Aisa Dekha Waisa Dekha
 
 Phoolon Jaisa Hasta Dekha
 Kaliyon Jaisa Khilta Dekha
 Taaron Jaisa Roshan Dekha
 Bhawron Jaisa Chanchal Dekha
 
 Jab Bhi Dekha Usko Maine
 Aisa Dekha Waisa Dekha
 
 Titli Jaisa Nazuk Nazuk
 Rangon Jaisa Komal Komal
 Bheegi Bheegi Aous Ke Jaisa
 Behke Behke Jaam Ke Jaisa
 
 Simti Simti Raat Ke Jaisa
 Khilte Khilte Din Ke Jaisa
 Subha Sawerey Dhoop Ke Jaise
 Thande Chaand Ke Roop Ke Jaisa
 
 Jab Bhi Dekha Usko Maine
 Aisa Dekha Waisa Dekha
 
 Tanhaai Mai Shor Ke Jaisa
 Jaane Pehchaane Chor Ke Jaisa
 Dil Ke Ghar Mai Dhadkan Sa Wo
 Bechaini Sa Tadpan Sa Wo
 
 Taza Taza Kamal Ke Jaisa
 Aadhi Adhuri Ghazal Ke Jaisa
 Sannate Mai Khalal Ke Jaisa
 Bheege Tajmahal Ke Jaisa
 
 Jab Bhi Dekha Usko Maine
 Aisa Dekha Waisa Dekha
 
 Jab Bhi Dekha Usko Maine
 Aisa Dekha Waisa Dekha
  






