Add Poetry

Jana Abb Zarori Ho Gia Hai

Poet: Nazim Ali By: Nazim Ali, Okara

Jana Abb Zarori Ho Gia Hai
K Abb Is Shehar Mein Guzara Ho Hi Nehi Sakta
Main Ansu Bo Hi Nehi Sakta
Meri Ankhon Mein Gehari Nened Chaai Hai
Magar Main So Hi Nehi Sakta
( Mujhe Kiya Khoof Hai Kyun Mera Dil Mera Nehi Banta )
Meri Ankhein Jane Pehanchane Raston Par Ajnabi Tehreer Parti Hain
Or Youn Phir Qadoon Mein Mere Girti Hain
K Jese Abb Yahan Mera Koi Nehi Hai
Magar Main Janta Hon
Wo Yehi Galiyan Hain
Jin Mein Mera Bachpan Gum Gia
In Hi Galiyon Mein Kai Ghar Mere Apne Hain
Magar Main In Ghar Main Jaa Hi Nehi Sakta
K In Gharoon Ki Tarif Jo Bi Rasta Jata Hai
Wo Mujh Se Khoof Khata Hai
Mujhe Lagta Hai
Mujh Ko Bi Musafat Ki Andheri Gaar Se Tanha Guzarna Hai
Khuda Jane Mujhe Abb Kahan Jana Hai
Main Abb Kese Rukoo K
Jana Abb Zarori Ho Gia Hai
 

Rate it:
Views: 847
04 Oct, 2011
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets