Add Poetry

Kabhi Kabhi Mere Dil Mein

Poet: By: Armaan, SIAKOT

Kabhi Kabhi Mere Dil Mein Khayal Aata Hai
K Zindagi Teri Zulfon Ki Narm Chaon Mein
Guzarne Pati To Shadab Ho Bhi Sakti Thi
Ye Tiragi Jo Mere Zist Ka Muqaddar Hai
Teri Nazar Ki Shuaon Mein Kho Bhi Sakti Thi

Ajab Na Tha K Main Begana-Ilm Hokar
Tere Jamal Ki Ranaion Mein Kho Rahta
Tera Gadaz Badan Teri Neem Baaz Aankhen
Inheen Haseen Fasanon Mein Moh Hoh Rahta

Pukarteen Mujhe Jab Talkhiyan Zamane Ki
Ter Labon Se Halawat Ke Ghoont Pe Leta
Hayat Cheekhti Phirti Barahna Sara Dar Mein
Ghaneri Zulfon Ke Saaye Mein Chup Ke Jee Leta

Magar Yeh Ho Na Saka Aur Ab Yeh Aalam Hai
Ke Tu Nahin Tera Gham Teri Justjoo Bhi Nahin
Guzar Rahi Hai Kuch Is Tarah Zindagi Jaise
Ise Kisi Ke Sahare Ki Aarzoo Bhi Nahin

Zamaan Bhar K Dukhon Ko Laga Chuka Hoon Gale
Guzar Raha Hoon Kuch Anjani Rahguzaron Se
Muhib Saaye Meri Simt Barhte Aate Hain
Hayat-O-Maut Ke Pur Haul Khar Zaron Se

Na Koi Jadah Na Manzil Na Roshni Ka Suraj
Bhatak Rahi Hai Khalaon Mein Zindagi Meri
Inheen Khalaon Mein Rah Jaaonga Kabhi Kho Kar
Main Jaanta Hoon Meri Humnafas Magar Yunhi

Kabhi Kabhi Mere Dil Mein Khayal Aata Hai
 

Rate it:
Views: 5059
09 Jul, 2008
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets