Add Poetry

Khowab

Poet: Syed Ishtiaq Hussain Kazmi By: Waqas Shah, rawalpindi

Mahabat Main Hi Saray Hi Suhanay Khawab Lagtay Hain
Jo Zamanay Beet Jatay Hain Wo Zamanay Khawab Lagtay Hain

Ulfat Main Bachaini Hi Umar Bhar Dil Main Rahti Ha
Muqadar K Sitaray B Baiganay Khawab Lagtay Hain

Ya Bari Dilkash Bari Haseen Roshan Ankhain Kartay Hain
Jab Manzil Pas Ati Ha To Daronay Khawab Lagtay Hain

Kabi Unchi Hawaon Main Uranay Khawab Lagtay Hain
Magar Dil Tout Jay To Afsanay Khawab Lagtay Hain

Ulfat Main Sabi Waday Kabi Poury Nahi Hotay
Tabi To Janay Chahray B Anjanai Khawab Lagtay Hain

Kabi Dil Ka Sakoon Or Ankhoon Ki Ya Thandak Hotay Hain
Magar Rafta Rafta Neend Uranay Khawab Lagtay Hain

Najanay Kon Si Tabeer Zuban Khulnay Nahi Daiti
Laboon Pa Talay Hotay Hain Jab Sunanay Khawab Lagtay Hain

Ishtiaq Tum Na Sari Umar Ha Mazi Main Niba Dali
Tabi Tum Ko Bahot Achay Puranay Khawab Lagtay Hain

Rate it:
Views: 559
14 Feb, 2009
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets