Add Poetry

Kuch Lamhon

Poet: ASMA HUSSAIN By: ASMA HUSSAIN, DUBAI

Kuch Lamhon Ke Liye Hi Sahi
Huwa Jo Wo Humara Tou Laga Ye Saara Jahan Haseen

Kuch Tou Tha Hum Main Jo Usse Laga Her Wo LamhaSahi
Guzara Jo Thaam Ker Humara Wo Haath Haseen

Kuch Tou Tha Hum Main K Wo Laot Aya Muddaton Baad Yunhi
Phir Q Kerta Raha wo Inkaar Umer Bhar Yunhi

Lamhon K Na Teherne Per Jo Huwa wo Pareshan kabhi
Hum Samjhe K Uske Dil Main Bhi Hai Chupi Chahat Kahin

Muddaton Paas Reh Ker Bhi Jo Paas Se Guzra Nahi
Dil Main Uske Bhi Reh Gaye Honge Armaan Kaye

Mera Ho Ker Bhi Wo Kehta Raha K Wo Mera Nahi
Poocha Jo Humne K Q Kerte Rahe Humse Vaade Haseen

Wo Muskura Ker Bolay K Ker Baithay They Tumse Dil Lagi Yunhi
Raaz Khul Jayegain Us Per Dabi Chahton K Sabhi

ZARA Hone Do Usko Khud Se Juda Sahi
Juda Huwa Tou Wo Keh Gaya Kisi Kay Kabhi Hona Nahi
Humse Milte Rehna Tanhayon Main CHUPKE Kahin

Hum Hain Kisi Kashmakash Main Mubtila Abhi
Humain Rehne Do Kuch Din Khud Se Juda Sahi

Loat Ker Ayegain Phir Hum Tere Paasyahin
Gar Ker Sake Poore Wo Vaade Haseen

Rate it:
Views: 534
09 Nov, 2014
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets