Tumhari Aahaten Beshumaar Hain, Tumharey Wajood Ka Pata Nahi
Khwaab To Saarey Haseen Hain, Taabeeron Ka Pata Nahi
Yun Lagta Hai K Saarey Dar Tere Ghar K Hi Hain
Par Intikhaab Kis Dar Ka Karun Ye Baat Mujhey Pata Nahi
Meri Bechargi Ka Aalam To Koi Dekhey Zara Ghor Se
Girhen Suljhaney Betha Hun Siron Ka Mujhey Pata Nahi
Kanon Mein Goonjti Awaaz Ko Mein Achi Tarah Janta Hun
Par Awaaz Jis Bashar Ki Hai Mujhey Us Ka Kuch Pata Nahi
Roz Roz Tehelney Nikalta Hun, Ghanton Tehelta Hun
Par Aesa Mein Kion Karta Hun, Mujhey Khud Pata Nahi
Mein Tum Mein Gum Rehta Hun, Bus Tum Hi Ko Mein Sochta Hun
Soch Ka Markaz Pasand Hai, Soch Ka Maqsad Pata Nahi
Jitna Kuch Tum Ne Khoya Mujhey Us Ka Andaza Hai
Par Mein Ne Ab Tak Kia Kia Khoya, Mujhey Us Ka Pata Nahi
Kisi Zamaney Mein Koi Tha Jo Mere Sath Jeeta Tha
Ab Us Ka Kuch Ata Nahi, Ab Us Ka Kuch Pata Nahi
Bus Yahi Haal Ahwaal Hain, Kise Kia Bataon Sameer
Sub Kuch Pata Hai Mujhey, Phir Bhi Kuch Pata Nahi