Add Poetry

Kyoun Khaaq Uthaaiy Pherta Hai Dil Aaj Bhi Unkay Qadmon Ki

Poet: kamran bashir bhatti hamzaad By: kamran bashir, sanghar

Kyoun Khaaq Uthaaiy Pherta Hai Dil Aaj Bhi Unkay Qadmon Ki
Kyoun Daikh K Us K Khatt Ko Dil Pher Kirchi Kirchi Hota Hai

Kyoun Aaj Bhi Uski Yaad Mein Dil Kyoun Kyoun Dooba Dooba Rehta Hai
Ulfatt Ka Laboon Par Naam Aaiy Kyoun Chashm Yeah Namm Ho Jatay Hain

Dil Kehta Hai Chal Un Se Mill Uthtay Hain Qadam Ruk Jatay Hain
Dil Hum Ko Kabhi Samjhaata Hai Hum Dil Ko Kabhi Samjhaatay Hain

Kuch Hijar Ki Talkhi Lay Doobi Kuch Tanhai Say Toot Gaiy
Kuch Sardd December Maar Gaya Kuch Andar Say Hum Toot Gaiy

Puchay Jo Koi Thi Kesi Wo Miss Saima Kanwal Jisay Kehtay Thay Tum
Dil Andar Say Hil Jaata Hai Kyoun Qadam Yeah Larkha Jaatay Hain

Dil Kehta Hai Chal Un Se Mill Uthtay Hain Qadam Ruk Jatay Hain
Dil Hum Ko Kabhi Samjhaata Hai Hum Dil Ko Kabhi Samjhaatay Hain

Wo Toor K Kaanch Ki Chuuri Ko Bas Pyaar Apna Hi Naapti Thi
Kabhi Daikh K Tootay Taaray Ko Wo Mujh Ko Maanga Karti Thi

Kabhi Haya Say Sharmaa Kar Aanchal Daantoon Mein Dabaaya Karti Thi
Kabhi Haath Wo Chupkay Say Aakar Aankhon Pay Mere Wo Rakhti Thi
Ab Haath Na Us Kaa Paain To Bas Tarappp Kay Hum Reh Jaatay Hain

Dil Kehta Hai Chal Un Se Mill Uthtay Hain Qadam Ruk Jatay Hain
Dil Hum Ko Kabhi Samjhaata Hai Hum Dil Ko Kabhi Samjhaatay Hain

Ik Taraf Judai Hai Uski Aur Dil Se Bhi Wo Na Jaati Hai
Usay Khoona Bhi Mein Chaahata Nahi Na Qadam Wo Koi Uthaati Hai

Kehti Hai Milungi Tum Se Mein Shadi Say Pehlay Ik Baar ''Kamran''
Bas Soch K Us Ka Ik Yeah Sitammm Hum Marnay Pay Aajaatay Hain

Dil Kehta Hai Chal Un Se Mill Uthtay Hain Qadam Ruk Jatay Hain
Dil Hum Ko Kabhi Samjhaata Hai Hum Dil Ko Kabhi Samjhaatay Hain

Rate it:
Views: 329
04 Oct, 2017
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets