Add Poetry

Magar Main Sochta Hoon Ye

Poet: Shamsul "ShamS' By: Shamsul Hasan, New Delhi

Safar Takseem Karna Hai
Magar Main Sochta Hoon Ye
Kisi Rehbar Ko Le Aaoun
ya kisi Rehjan Ke Sang Jaaoun

Makaam Hasil Nahi Hota
Magar Main Sochta Hoon Ye
Kisi Ke Dar Pe Ho Aaoun
Ya Khud Darbaar Ban Jaaoun

Nazar Aati Nahi Manzil
Magar Main Sochta Hoon Ye
Kisi Se Raasta Puchoon
Ya Khud Rahgeer Ho Jaaoun

Koi Apna Nahi Milta
Magar Main Sochta Hoon Ye
Kisi Ka Khud Ko Keh Daalun
Ya Kisi Ko Apna Bana Laaoun

Bohat Mushkil Ghadi Hai Ab
Magar Main Sochta Hoon Ye
Safar Se Lot Jaaoun Kya
Ya Honsla Aur Badhaaoun

Bohat Hi Sochta Hoon Main
Magar Main Sochta Hoon Ye
Kisi Ki Soch Se Pehle
Kisi Ki Soch Ho Jaaoun

Rate it:
Views: 2259
12 Oct, 2014
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets