Gazal Tanhaayiyon Me Mujhse Aksar Poochti Hia Ye
Hamesha Kyun Udaasi Se Bhare Nagmaat Gaate Ho
Kabhi Aansun , Kabhi ,Khoon-E-Jigar Ko Saath Lekar Tum
Mere Is Khoobsurat Jism Par Kaanten Chubhaate Ho
Hamesha Tum Muhabbat Me Judai Le Kar Chalte Ho
Hamesha Muskuraate Logon Ki Khushiyan Mitate Ho
Hansi Chehre Pe Lekar ,Dil Hi Dil Me Toote Rhate Ho
Tumhe Kya Ho Gaya Jo Is Tarah Mahfil Me Aate Ho
Mai Kahta Hun Ki Jab Bhi Mai Qalam Haaton Me Leta Hun
Kisi Ke Saath Beete Manzar Mujhko Yaad Aate Hain
Batao To Zara Aise Me Kay Kuch Kar Sakunga Mai
Kisi Ki Yaad Ko Seene Me Lekar Ji Sakunga Mai
Mai Likhna Chaahta Hun Husn Pe Uske Kai Nagmen
Magar Ab Kya Likhun Jab Saath Mera De Naa Paayi Wo
Baato To Zara Kya Koi Zinada Rah Bhi Sakta Hai
Faqat Ek Laash Ho Aur Rooh Naa Ho Jism Ke Ander
Mera Bhi Haal Hai Kuch Is Tarah Se Tum Samajh Jao
Tumhi Ek Dost Ho Mai Jiske Zarye Zinda Rahta Hun
Sahara De Do Gar Tum To Sudhar Mai Phir Bhi Sakta Hun
Kisi Ke Saath Jo Guzre They Manzar Likh Bhi Sakta Hun
Gazal Phir Muskurate Paaas Mere Aake Kahti Hai
Tumhara Sath Mai Ta Umr Aise Hi Nibhaungi
Tumhari Ye Udaasi Se Bhari Dunya Ki Mahfil Ko
Mai Apne Pyaar Ki Khushbu Se Ek Din Phir Sajaungi
Mai Phir Khamosh Ho Jata Hun Aur Dil Hi Dil Me Kahta Hun
Khuda Kya Mere Wo Din Phir Se Waapas Laaut Aayenge
Kisi Ki Husn Ki Rangeeniyon Me Kho Mai Jaunga
Kisi Ki Zulf Ke Saaye Me Mai Duniya Basaunga
Kisi Ke Honton Ki Laali Ko Mai Phir Phool Kah Lunga
Kisi Ke Aankhon Ke Sagar Me Mai Phir Doob Jaunga
Magar Ye Sochna Mujhko Faqat Ek Khwaab Lagta Hai
Ki Mere Dil Ke Goshe Me Kisi Ka Chehara Rahta Hai