Apne Baba Ki Main Rani Hun
Main Ik Ladki Multani Hun
Jise Maa Ne Saath Sulaya Hai
Aur Haath Se Apne Khilaya Hai
Jise Baba Ne Dil Main Basaya Hai
Aur Seenay Se Jise Lagaya Hai
Jese Koi Gudiya Japani Hun
Main Ik Ladki Multani Hun
Jo Bhai Se Ladti Jaghdti Hai
Sab Choriyan Uski Pakadti Hai
Wo Jo Har Baat Pe Mukarti Hai
Aur Har Baat Pe Akadti Hai
Main Ik Afat Nagahani Hun
Main Ik Ladki Multani Hun
Jise Khushiun Ki Soghat Kahain
Jise Rehmat Ki Barsaat Kahain
Jise Muhabat K Jazbaat Kahain
Jise Shayer K Khayalat Kahain
Main Koi Rooh Aasmani Hun
Main Ik Ladki Multani Hun
Zid Jiski Pehchaan Bani
Jo Pathar Ki Chataan Bani
Jo Muhabat Ki Azaan Bani
Kabhi Jaan K Bhi Anjaan Bani
Main Zidi Hun Deewani Hun
Main Ki Ladki Multani Hun
Ghar Ki Ronaq Kehlaye Jo
Siraf Apni Baat Chalaye Jo
Har Pal Sada Muskuraye Jo
Jeene Ki Wajah Batlaye Jo
Main Wahi Dilkash Kahani Hun
Main Ik Ladki Multani Hun