Meri Khushi Ka Hisaab Rehne Do

Poet: Shamsul "ShamS" By: Shamsul Hasan, New Delhi

Meri Khushi Ka Hisaab Rehne Do
Aaj Rukh Pe Naqaab Rehne Do

Muddaton Kaanton Ki Tarafdaariyaan Ki
Aaj Daman Mai Gulaab Rehne Do

Tum Pilaao To Meyqada Pee Loon
Wagarna Ye Sharaab Rehne Do

Neend Se Baat Banaayein Aao
Aaj Aankhon Mai Khaab Rehne Do

Ab Na Kar Paaoge Wafaaein Tum
Chodo Chodo Janaab Rehne Do

Mashwara Kaam Aa Gaya Mere
Mujhe Khaane-Kharaab Rehne Do

Kiska Ghar Kitna Phoonkna Hai Usey
Shahr Mai Aftaab Rehne Do

Ab Khuda Ko Mana Liya Jaaye
Ab Thode Ajaab Rehne Do

Phir Padegi "Shams" Zarurat Iski
Dil Mai Jazba-E-Inqalaab Rehne Do

Rate it:
Views: 697
20 Sep, 2014