Add Poetry

Mizaj-E-Ishq

Poet: just words By: Daniyal, faisalabad

Mera Mizaj-E-Ishq Hay,Tanhaiyan Pasand
Usko Bhi Apnay Ishq Main Hay La,Makan" Pasand

Kiunker Naseeb Ho Hamain, Mairaj-E-Aashqi
Mujhko Zameen Pasand Hay Usay Aasman Pasand

Moujon Ki Narem Goud MainYoon Loriyan Na Day
Aati Nahi Hay Ab Mujhay Aathkhailiyan Pasand
 
Mukr-O-Faraib Main Usay Hasil Tha Kia Kamal
Issi Wasaf Nay Kia Hay Hamain Imtihaan Pasand

Nokhaz-E-Bahar Main Kia Kia Hain Uljhanain
Ker Bathti Hain Khaar Ko Bhi Titliyan Pasand

Yeh Piyar Ka Mahal Hay Kaheen Dour Lay Chalo
Is Dor Ki Mumtaz Ko Kub Shahjahan Pasand

Meri Zameen Pay 'Burq' Koi Gher Nahi Raha
Aankhon Ki Dhertiyon Ko Hay Veeraniyan Pasand

Rate it:
Views: 1746
14 Nov, 2008
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets