Mohabbat Jin Say Hoti Hai
Unhain Khonay Ka Dar Har Waqt Daman Geer Rehta Hai
Yaqeen Ki Akhri Manzil Pay Akar Bhi
Koi Khadsha Koi Shak Koi Andaisha
Buhat Bay Chain Rakhta Hai
Mohabbat Jin Say Hoti Hai
Unhain Khonay Ka Dar Har Waqt Daman Geer Rehta Hai
Kahin Yeh Wasl K Lamhay
Badal Jayen Na Furqat Main
Kahin Yeh Qurb Ki Gharyan
Judayi Me Na Dhal Jayen
Kahin Aisa Na Ho K
Koi Uss Ko Badguman Karday
Kahin Aisa Na Ho K
Jiss Ko Hum Nay Hasil E Umr E Rawan Samjha
Jhatak Kar Hath Wo Bay Dard
Sub Kuch Rayegan Karday
Kahin Aisa Na Ho
Wo Mehrban Ankhain, Badal Jayen
Kahin Aisa Na Ho
Yeh Garam Joshi Sard Par Jayay
Tapak E Jan Say Milnay Ki Ravish
Yakh Basta Hojaey
Aday E Dilbarana Bay Rukhi Ka Roop Dharay
Aur Dil Ka Dard Ban Jayay
Mohabbat Jin Say Hoti Hai
Unhain Khonay Ka Dar Har Waqt Daman Geer Rehta Hai
Kabhi Mehfil Main Sub K Samnay
Wo Ehtyatan Bhi
Agar Nazrain Chura Jayay
To Dil Pay Choat Lagti Hai
Ansoaon Ka Main Barasta Hai
Kabhi Masrofiyat Main
Mehviyat Main
Fone Ki Ghanti Ka Wo Notice Na Lay
Aur Rabtay Ka Silsila Moqof Hojayay
Dharak Uth'ta Hai Dil
Kia Janyay Kia Hogaya Ussko
Tawajja Main Kami Q Agayi
Q Uss Ki Janib Aik Sannata Sa Chaya Hai
Jo Apna Iss Qadar Apna Tha
Akhir Q Paraya Hai
Mohabbat Jin Say Hoti Hai
Unahain Khonay Ka Darr
Har Waqt Daman Geer Rehta Hai