Mujhey Aksar Wo Kehtii Thii Mohabbat Kuch Nahi Hotii
Hijjr Ka Khouf Be-Matlab Vasal Key Khwaab Be-Maanii
Koii Soorat Nigaahon Mein Khaan Din Raat Rehtii Hai
Usey Kyon Khaamshii Kahiye K Jis Mein Baat Rehtii Hai
Yeh Aansoo Be Zubaan Aansoo Bhala Kya Bol Saktey Hain
Kahaan Dil Mein Kisi Ki Yaad Sey Toofaan Uth-Tey Hain
Kahaan Palkon Key Saaye Mein Namii Din Raat Rehtii Hai
Kahaan Hotii Hain Wo Aankien Jhaan Barsaat Rehtii Hai
Mujhey Aksar Wo Kehii Thi Mohabbat Kuch Nahii Hotii
Magar Jab Aaj Barson Baad Main Ney Us Ko Dekha Hai
K Uss Kii Jheel Aankhon Mein Hijjr Ka Khouf Rehta Hai
Vasal Key Khwaab Rehtey Hain Wohi Barsaat Rehtii Hai
Ye Adat Hai Kaii Raaton Sey Wo Soii Nahii Shaayed
Yon Lagta Hai Kisi Kii Yaad Ab Din Raat Rehtii Hai
Aur Us Kii Narm Palkon Key Haseen Saaye Bhii Geelay Hain
Aur Us Kii Khaamoshii Aisi K Jis Mein Baat Rehtii Hai
Mujhey Ab Wo Nahii Kehtii Mohabbat Kuch Nahii Hotii
K Har Dewaar Par Ab Wo Kisi Ka Naam Likhtii Hai