Add Poetry

Muhabbat Chup Nahi Rehti

Poet: Mir Hasan By: Mir Hassan Rind, karachi

Woh Boli, Phir Palat Aye,Chalay To Phir Palat Aye
Main Bola, Band Koochay Ka Safar Hay Zindagi Apni

Woh Boli, Har Sarrak Jati Hay Gham K Shehar Ki Janib
Main Bola, Aur Agar Woh Shehar Apney Dil Mein Ho To Phir?

Woh Boli, Gham Hamesha Sath Deta Hay Museebat Mein
Main Bola, Ik Zara Thehro Mujhay Kuch Ghor Se Dekho

Woh Boli, Kya Zaroori Tha Mujhay Tum Sath Hi Rakhtey?
Main Bola, Rooh Bin Main Jism Kya Karta, Kahan Jata?

Woh Boli, Aa Gaya Hay Raitla Mausam Judayi Ka
Main Bola, Main Tera Sehra Nord Mutaqil Thehra

Woh Boli, Rait Urrti Hay To Aankhon Mein Bhi Parti Hay
Main Bola, Dard Ki Maari Hui Aankhon Ko Iss Se Kya

Woh Boli, Soch Lo Iss Dhoop Mein Kantey Barastey Hain
Main Bola, Yeh To Acha Hay Bohut Par Phool Mehkein Ge

Woh Boli, Raat Zakhmon Par Bohut Teesein B Barsein Gi
Main Bola, Zakhm Par Zakhmon Ko Seh Janey Ki Aadat Hay

Woh Boli, Aarzooun K Lahu Ka Zaiyeqa Kya Hay?
Main Bola, Talkh Hay Meetha Hay Karrwa Hay Raseela Hay

Woh Kehti Hay, K Main To Maang Mein Suraj Sajaon Gi
Main Kehta Hoon, K Suraj Ki Wazahat Ho Magar Pehaley
 

Rate it:
Views: 1246
30 Dec, 2007
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets