Add Poetry

Muhabbato K Dour

Poet: Ramesh Usmani By: Zunaira, sialkot

Muhabbato K Dour Khatam Ho Chuky
Dilo Mein Jo Gulab They Wo Ansoun Ki Nazer Ho Chuky

Madena _E_ Niga Per Nazol_E_ Khawab K
 Tamam Jaan Nawaz Silsalo K Dour Khatam Ho Chuky
K Mojazo K Dour Khatam Ho Chuky

Kabhi Hai Jism Ki Talab Kabhi Kisi Ko Jeetny Ki Arzo Hai
Ya Hawas K Jesey Teez Dhoop Mein Shajer Hi Kattey Rahy

Faseel_E_Roz O Shab Ko Chattey Rahy
Laho Mein Bas Khawahisho K Saanp Nachty Rahy

Esi Ko Kiya Muhabbato Ka Naam Dey
Mufaad_E_Mushtarik Ko Hi Khaloos E Dil Ka Naam Dey
Khaloos E Dil K Dour Khatam Ho Chuky

Muger,Kahein Sey,Shehar E Dil Ki Dhool Sey
Muhabbat K Ansoun K Phool Sey Ye Pukar Aai Hai

Kabhi Tu Mojazey B Hoon Janoun K Silsaly B Hoon
Kahein Sey Khushbo Ka Qafla Rawan Chaly

Muhabbato Ki Phir Sey Dastan Chaly
Ye Teez Dhoop Teez Dourr Khatam Ho

Tu Phir Jarag E Jaan Jaly Zameen Chaly Tu
Saath Saath Neela Aasman Chaly
Muhabbato Ki Phir Sey Dastan Chalay

Rate it:
Views: 690
21 Sep, 2008
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets