Paas Aa K Door Jata Hai
Yani Zabat Mera Aazmata Hai
Makafat-E-Amal Bhi Lazim Hai
Ankh Koi Jo Roulata Hai
Uss Say Bichrra Bhi Nahi Jata
Woh Khud Say Kaha'n Milata Hai
Tum Nay Daikha Hai Meray Andar Ka Insa'n
Routh K Khud Say Tumy Manata Hai
Tualak Rakhta Jo Nahi Koi
Yaad Mein Q Phir Satata Hai
Kon Rakhta Hai Zaraf Bikharnay Ka
Kon Takazay Wafa K Nibhata Hai
Mukabil Muhabat K Anaa Bhi Hoti Hai
Wakat Youn Bhi Kabhi Aazmata Hai
Bicharr Jatay Hain Jinhen Bicharrna Ho
Wajah Koi Kab Batata Hai
Kabhi Hum Nay Bhi Bakhshi Thi Jala
Loow Aaj Meri Tu Bujhata Hai
Hum Jo Bikharay Ahbaab Ki Anayet
Chorr Baat Q Bharrhata Hai
Woh Taklif Pay Tarrap Jata Tha Amber
Taklif Day K Jo Aaj Muskurata Hai
S Sadia Amber JilaniA