Add Poetry

Rahon Pe Nazar Rakhna Honton Pe Dua Rakhna

Poet: Arslan Aslam By: Arslan Aslam, Sahiwal

Rahon Pe Nazar Rakhna Honton Pe Dua Rakhna
Aa Jaye Koi Shayed Darwaza Khula Rakhna

Ehsaas Ki Shamaa Ko Is Tarah Jalaa Rakhna
Apni Bhi Khabar Rakhna Us Ka Bhi Pata Rakhna

Raaton Ko Bhatakne Ki Deta Hai Saza Mujhe
Dushwaar Hai Pehlu Main Dil Tere Bina Rakhna

Logon Ko Nigaahon Se Parh Lene Ki Aadat Hai
Logon Ki Tehreeron Ko Logon Se Bacha Rakhna

Bholoon Main Agar Aye Dil Tu Yaad Dila Dena
Tanhai Ke Lamhon Ka Har Zakham Haraa Rakhna

Ik Boond Bhi Ashkon Ki Daaman Na Bhigo Paaye
Gham Uss Ki Amaanat Hai Palkon Pe Sajaa Rakhna

Iss Tarah Qateel Us Se Bartaao Rahe Apna
Woh Bhi Na Bura Maane Dil Ka Bhi Kahaa Rakhna
 

Rate it:
Views: 1239
08 Dec, 2014
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets