Shaam Hoti Rahi Saaye Dhalte Rahay
Baithy Chokhat Pay Hum Haath Mlitay Rahay
Hijar Ki Zulmaton Mein Mein Dooba Raha
Deep Yaado Ke Sab Yuhin Jaltay Rahay
Jo Bhi Socha Tha Kuch Woh Kaha Nah Gaya
Kitney Armaan Dil Mein Machaltay Rahay
Apna Rasta Nah Tha Apni Manzil Nah Thi
Aap Ki Khoj Mein Phir Bhi Chaltay Rahay
Mere Halaat Thoray Se Kya Dhal Gaye
Rang Saaray Jahan Ke Bdalty Rahay
Zindagi Aik ”Aysaa Tamasha“ Bani
Dil Zamane Ke Jis Se Behaltay Rahay
Tum Se Deepuk Zuban Bhi Nah Badli Gayi
Log Chehray Hazaron Bdalty Rahay