Suno Tumhari Wafa Pe Mujhko
Pora Yaqeen Hai
Par Zamane K Waar Ka
Kuch Bharosa Nahi Hai
So Gar Kbhi
Tumhe Mujhse Nafrat Ho Jaye
Aur Meri Rooh Ki Komal Pattiyaan
Tumhe Kisi Babool Ki Manind Chubhne Lagien
To Mujhe Yaad Na Kerna
K Yaado'n Ka Zeher
Zakham Bharne Nahi Deta
Haan Magar Dekho
Kabhi In Raahon Se Nafrat Na Karna
Jin Per Kbhi Hum Ek Saath Chale The
K Raaste To Manzil Ka Pata Dete Hain
Aur Kisi K Qadmon Ki Besabati Se
In Raaston Ka Kya Lena Dena
Kabhi In Rangon Se Nafrat Na Karna
Jo Mujhe Ache Lagte The
K Rang To Ziyaa Bikhairte Hain
Mager Kisi Ki Rooh K Andhere Se
In Rango'n Ka Kya Lena Dena
Kabhi Is Dhun Se Nafrat Na Kerna
Jo Meri Rooh K Taar Jor Deti Thi
K Dhun To Sur Ki Tarteeb Hoti Hai
Aur Kisi Andar Ki Betarteebi Se
Is Dhun Ka Kya Lena Dena.