Mujhey Doston Ki Tarap Nahi, Mujhey Dosti Ki Talaash Hai
Mujhey Phoolon Se Koi Gharaz Nahi, Mujhey Kaliyon Ki Talaash Hai
Meri Manzilen Mera Maqsad, Meri Rehguzar Mera Imtihaan
Beech Bhanwar Ho Dareecha E Gul, Mujhey Us Rastey Ki Talaash Hai
Mushkil To Meri Manzil Hai Bohat, Sochta Hun Ke Aese Hi Ho
Muhabbat Kisi Dibbey Mein Ho, Mujhey Us Sandooq Ki Talaash Hai
Mein Nikhar Jaon Jise Paakar, Mein Bikhar Jaon Jisey Kho Kar
Do Ghariyan Milan Ki Milen, Mujhey Us Lamhey Ki Talaash Hai
Wo Sambhal Jaye Jisey Choo Kar, Bhool Jaye Saarey Gham Aur Dar
Mere Dil Ko Wo Mehsoos Karey, Mujhey Uskey Lams Ki Talaash Hai
Mere Honton Par Jo Rakhey Jayen, Mere Aansu Jin Se Chuney Jayen
Baar Baar Mujhey Jo Choomen Wo, Mujhey Un Honton Ki Talaash Hai
Ghamon Mein Koi Ik Saathi Ho, In Raahoh Par Hamrahi Ho
Mer Zakham Par Jo Takleef Sahey, Mujhey Us Mukhlis Ki Talaash Hai
Jo Mere Liye Sirf Jeeta Ho Jo, Jo Meri Khushi Mein Hansta Ho
Jo Mere Gham Baha Le Jaye, Mujhey Us Darya Ki Talaash Hai
Jo Mere Khaabon Ka Manzar Ho, Jo Meri Soch Ka Markaz Ho
Jisey Apna Kar Kamil Ho Jaon, Mujhey Us Mohsin Ki Talaash Hai
Meri Subh O Shaam Ke Maamool, Meri Zindagi Meri Bandagi
Kisi Ko Supurd Kar Bethun Mein, Mujhey Us Hansti Ki Taalash Hai
Meri Aamad Ka Intizaar Karen, Jo Mera Khud Istaqbaal Karen
Kho Jaon Jis Panah Mein Mein, Mujhey Un Baahon Ki Talaash Hai
Mein Jahan Jaon Uski Mehek Ho, Mere Har Taraf Bus Wo Hi Ho
Phool Hi Phool Hon Har Taraf, Mujhey Un Raahon Ki Talaash Hai
So Rangon Mein Jo Yakta Ho, So Dhangon Mein Anokha Ho
Mera Dil Jis Ko Apna Keh De, Mujhey Us Chehrey Ki Talaash Hai