Raaz Jo Dil Main Muqaffal Raha, Khula Kab Tha
Aap Ne Dil Ke Band Dareechon Main Jhanka Kab Tha
Jaanay Kiyoon Ho Gai Afsurda Fiza E Gulshan
Main Ne Kaliyon Se Haal E Dil Abhi Kaha Kab Tha
Wo Tu Taqdees Ne Ik But Tarash Rakha Hai
Warna Mujh Main Tujhay Paanay Ka Hosla Kab Tha
Tu Ne Kiyoon Shor Ye Mehshar Ka Bapa Ker Daala
Zindgi, Ashk Meri Ankh Se Chhalka Kab Tha
Wo Tu Majboor Hoon Main Khu E Khud Farebi Se
Jo Meri Rooh Ka Unwaan Hai,Mera Kab Tha
Meri Aadat Hai Sarabon Kay Peechhay Chalnay Ki
Main Ne Haasil Ka Taqaza Kabi Kiya Kab Tha
Kaisay Utthi Hain Mitaanay Ko Sarphiri Maojain
Main Ne Saahil Pe Tera Naam Abi Likha Kab Tha
Wo Jis Main Kho Gya Anjaan Khwahishon Ka Wajood
Meri Sochon Ka Dhuwan Tha,Koi Sahra Kab Tha
Hazaaron Dard Ke Maaray Mujhay Lachaar Milay
Main Teray Koocha O Bazaar Main Tanha Kab Tha
Meri Hasti Teri Yaadon Ki Sajda Gah Hoti
Tu Ne Dil Se Mera Khyaal Tarasha Kab Tha
Fareb E Husn Main Yeh Umr Luta Di Hum Ne
Laot Jao Gay Tum Ik Roz Yeh Socha Kab Tha
Aasmaanon Pe Lahoo Ki Bisat Phail Gai
Abhi Palkon Ne Teray Naam Ko Chooma Kab Tha
Woh Jis Wajood Se Roshan Hain Nigaahain Apni
Hum Ne Uss Husn Ki Janib Kabi Dekha Kab Tha
Meri Yaadon Se Nikalna Teray Bas Main Hi Na Ho
Tu Ne Iss Darja Mujhay Toot Ke Chaha Kab Tha
Ne Nawazon Ne Tor Dala Khmshi Ka Bharam
Dharknaon Ne Abi Uss Saaaz Ko Chhera Kab Tha