Tujhay Kash Khud Say Mila Sako'n
Main Yeh Faslah Bhi Mita Sako'n
Main Kitaab-E-Dill Dikha Sako'n
Tujhay Harf Harf Parrha Sako'n
Main Yeh Faslah Bhi Mitta Sakon
Kisi Mundheer Si Awaaz Mein
Kisi Dill-Awayz Saaz Mein
Kabhi Chudvi Ki Raat Mein
Kabhi Bahar Ki Barsat Mein
Baat Dill Ki Main Apnay Suna Sako'n
Tujhay Humraz Apna Bana Sako'n
Main Yeh Faslah Bhi Mita Sako'n!!
Rah Bhi Han Dushwar Hai
Zamana Bhi Be-Aitbar Hai
Yaha'n Kon Kis Ka Qarar Hai?
Yaha'n Husan Bhi Makar Hai
Yaha'n Jaan-O-Dill Ki Qadar Kisay
Yaha'n Bikta Piyaar-O-Yaar Hai
Ik Behroop Sar-E- Bazar Hai
Yaha'n Har Shakas Ik Fankaar Hai
Yaha'n Ulfato'n Mein Nikhar Kaha'n
Yaha'n Muhabato'n Mein Sharar Hai
Meray Huslon Ko Parwan Day
Mujhay Ik Nae Urran Day
Mujhay Apnay Saath Ka Payman Day
Ik Maan Day Meray Humnashee'n
K Main Rasm-E-Wafaa Nibha Sako'n
Main Yeh Faslah Bhi Mitta Sako'n!!
Anao'n Ki Talakh Faseel Mein
Is Rahguzar Taveel Mein
Kon Wafaa Say Nibha Giya
Kon Jafaa Ko Basa Giya
Kis Nay Kis Say Daga Kiya
Kon Kis Ko Rula Giya
Chal Bhool Jaa Yeh Baat Bhi
Yeh Qisa Sab Reet-O-Rawaj Bhi
Meray Humsafar Magar Sun Zara
Yaad Kar K Koi Tha Tera
Woh Jis Say Tujhay Bhi Piyar Tha
Aur Tu Bhi Jis Ka Qarar Tha
Koi Harf-E-Dua Tha Tera
Ik Wada-E-Wafaa Tha Tera
Meray Charagar Mujhay Day Dua
Shamil Ho Jis Mein Ik Dawa
Main Faseel Yeh Gira Sako'n
Main Yeh Faslah Bhi Mitts Sako'n
Ya Bhool Jao'n Main Teri Tarah
Tumhay Yaad Ya Kuch Dila Sako'n
Kuch Sulajh Sako'n Kuch Suljha Sako'n
Tujhay Fakat Apna Bana Sako'n
Main Ik Lamha Chura Sakon
Tujhay Kash Khud Say Mila Sakon
Main Yeh Faslah B Mita Sakon
Syeda Sadia Amber Jilani