Tum Ho Shamil

Poet: ajmal By: ajmal, Bradford, Great Britain

Tum Ho Shamil Meray But* Mein Kuchh Isstareh
Mera Pehlu Ho Dherkan Ho Aur Jism-O-Jaan

Mein Jow Soya Tha Pichhlay Pehar Raat Ko
Lay Rahi Thee Tera Naam Meri Zubaan

Mein Rukh-E Yaar Kajub Nazaara Karoon
Chandni Raat Ho, So-Aye Saara Jahaan

Yeh Gawara Nahin Koee Aye Kabhi
Teray Chehray Meri Aankh Kay Dermiyan


( *But Means"Statue" )
 

Rate it:
Views: 735
20 May, 2011