Add Poetry

Wafa Karne Wale Sun Zara

Poet: Faiz Muhammad By: Faiz Muhammad, Tomb Bhag Dist Kachhi

Mujhse Wafa Karne Wale Sun Zara
Tere Hathon Ke Mehndi Ki Khushbu
Jab Meri Sanson Pe Simat Jati Hai
To Us Waqt Woh Khushbu
Mujhe Sirf Teri Yad Dilati Hai
Mujhe Us Waqt Kuch Mehsoos Hota Hai
Ke Aj Kahin Janat Se Hawa Ati Hai
Wo Khushbu Meri Dhadkan
Men Phir Jab Samati Hai
To Us Waqt Mujhe Aik Sada Ati Hai
Ke Ab Chod Do Tum Kaam Sare
Teri Jana Tujhe Ro Ke Bulati Hai.
Phir Us Khushbu Ko
Dil Men Main Rakh Leta Hoon
Phir Apne Labon Ko Hila Ke
Kuch Main Kehta Hoon
Aye Jana Main Tere Liye Hi
Yeh Gham Seh Leta Hoon
In Ghamon Ke Sath Bhi
Main Tere Liye Khush Rehta Hoon
Ik Baat Aj Meri Sun Lo Jana
Main Sirf Tere Liye
Hi Dunya Men Jee Leta Hoon.
Main Kisi Aur Jagah Par
Rehta Nahin Jana
Tu Dekh Le Main Tere Hi
Dil Men Rehta Hoon.
Main Phir Bhi Tujhse Milene Ko Aonga
Sath Apne Ik Gulab Laonga
Woh Gulab Phir Main Tere
Hath Men Thamaonga
Aur Tujhko Ik Bat Main Bataonga
Ke Yeh Gulab Kuch Bhi Nahin
Kuch Bhi Nahin
Tere Hathon Ki Khushbu Ke Samne
Phir Jab Tu Muskurai Gi
To Tere Labon Ko Choom Ke Bataonga
Ke Kabhi Rona Nahin Tum Phir Jana
Main Sada Aise Hi Tere Labon Pe Tabassum Sajaonga
To Us Waqt Wo Mujhse Ye Keh Degi
Ke Main Roti Nahin Kisi Bhi Gham Men
Yeh To Khushi Ke Ansouon Ki Rida Chai Hai
Jo Tujhe Pass Mere Leke Ai Hai
Mere Khushi Ke Ansoo Bahe Isliye
Ke Main Ne Ik Masoom Wafa Pai Hai
Aye Wafa Karne Wale Tu Bhi Sun Zara

Rate it:
Views: 928
09 Aug, 2011
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets