Qaid Kafi Hay Faqt Us Husn E Dilgeer Ki
Tere Ashiq Ko Bhala Hajat Hi Kia Zanjeer Ki
Wo Kahan Or Hum Kahan.Per Rehem Aadhay Aa Gaya
Reh Gayi Izzat Hamare Nala-E-Dilgeer Ki
Tab Kahin Ja Kar Hasil E Visaal E Zaat E Pak
Muddaton May Nay Parastish Ki Teri Tasveer Ki
Mujh Ko Larna Hi Para Adaa-E-Keena Toz Se
Jung Akhir Hu Gayi Tadbeer Se Taqdeer Ki
Jin K Seenon May Na Dil Hon,Balkay Pathar Hon Dharay
Kia Puhunch In Tak Hamaray Nalaa-E-Dilgeer Ki
Sayd-E-Zakhmi Ki Tarap May Tum Nay Paya Hay Maza
Hai Mera Dil Janta Lazzat Tumhary Teer Ki
Mujhko Rehti Hay Hamesha Us Kay Haton Ki Talash
Fikr Rehti Hay Tujhy Subh-O-Masakaf Geer Ki
Justuju-E-Khas Na Kar Tu Doosray Ki Ankh May
Fikar Kar Nadan Apnay Ankh Kay Shehteer Ki