Zamaanay Kay Chalan Say Naa Ashnaa Hay Wo
Loghun Ki Berukhi Say Naa Ashnaa Hay Wo
Har Shikasat Par Khud Ko Hee Qasoorwaar Samajhta Hay Wo
Bilwajha Hee Khud Ko Pash E Maan Rakhta Hay Wo
Usaay Kia Maloom Apni Muskarahat Mein Meray Jeenay Ka Samaan Rakhta Hay Wo
Janay Jheel See Ankhon Mein Kitnay Armaan Rakhta Hay Wo
Han Magar Mein Janta Hun Meray Liye Bahut Say Peghaam Rakhta Hay Wo
Bahut See Un Kahee Batein Bahut Say Shikway Bhee Rakhta Hay Wo
Meray Dour Hu Janay Kay Dar Say Sab Dil Mein Chupaye Rakhta Hay Wo
Wo Itna Haseen Hay Mosam Badal Denay Ki Taqat Rakhta Hay Wo
Chotay Say Shaer Mein Reh Kar Bhee Dil E Khaas Rakhta Hay Wo
Udaasi Mein Bhee Ansoo Apni Palkon Mein Chupaye Rakhta Hay Wo
Ranjh O Alam Mein Bhee Chahray Par Muskarahat Sajaye Rakhta Hay Wo
Ek Kay Baad Ek Zakham Kha Kar Bhee Husla Chitaano Saa Rakhta Hay Wo
Meray Jhoot Ko Bhee Sach Ki Tra Seenay Mein Sajaye Rakhta Hay Wo
Han Magar Makaaron Kay Iss Deis Mein Asli Chahra Rakhta Hay Wo
Mein Janta Hun Han Magar Nadaan Hay Wo