Add Poetry

Zameen Per Chal Na Saka

Poet: Adnan By: Adnan, Spain

Zameen Per Chal Na Saka, Aasman Se Bhi Gaya
Kattwa Ke Parr Wo Parinda Uraan Se Bhi Gaya

Bhula Diya To Bhulaane Ki Intiha Ker Di
Ab Wo Shakhs Mere Wehm O Gumaan Se Bhi Gaya

Kisi K Hath Se Nikla Hua Wo Teer Hu Mein
Jo Hadaf Ko Choo Na Saka Or Kamaan Se Bhi Gaya

Tabaah Ker Gai Mujhe Pakkay Ghar Ki Khowahish
Me Apne Gaaon Me Kachay Makaan Se Bhi Gaya

Paraai Aag Me Kooda To Kya Mila Mujhe
Uss Ko To Bacha Na Saka, Apni Jaan Se Bhi Gaya

Rate it:
Views: 627
30 Apr, 2009
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets