Add Poetry

خبر نہ ہو

Poet: Nadim Sarwar By: Mohammad Nadim Sarwar, Lahore

Kabhi Youn Bhi Aa Meri Aankh Main K Meri Nazar Ko Khabar Na Ho
Mujhe Ek Raat Navaaz Dey Magar Uskey Baad Sehar Na Ho

Wo Bara Rahim-O-Karim Hai Mujhey Ye Sifaat Bhi Ataa Karey
Tujhey Bhulaney Kii Duaa Karon To Duaa Main Meri Asar Na Ho

Mere Baazuon Main Thaki Thaki, Abhi Mehaw-E-Khwaab Hai Chaandni
Na Uthay Sitaaron Ki Paalki, Abhi Aahaton Kaa Guzar Na Ho

Ye Ghazal Ki Jaisey Hiran Ki Aankhon Main Pichhali Raat Ki Chaandni
Naa Bujhey Kharaabe Ki Roshani, Kabhi Becharaagh Ye Ghar Na Ho

Wo Firaaq Ho Yaa Visaal Ho, Teri Yaad Mehkegi Ek Din
Wo Gulaab Ban K Khilegaa Kya, Jo Chiraagh Ban K Jalaa Na Ho

Kabhi Dhoop Dey, Kabhi Badliyaan, Dil-O-Jaan Se Dono Qabool Hain
Magar Us Nagar Main Na Qaid Kar Jahaan Zindagi Ki Hawaa Na Ho

Kabhi Din Ki Dhoop Main Jhoom K Kabhi Shab K Phool Ko Choom K
Youn Hi Saath Saath Chalein Sadaa Kabhi Khatam Apanaa Safar Na Ho

Mere Paas Mere Habeeb Aa Zaraa Aur Dil K Qareeb Aa
Tujhe Dharkano Main Basaa Loon Main K Bichharnay Ka Kabhi Dar Na Ho

Rate it:
Views: 925
29 Apr, 2008
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets