Add Poetry

سنا ہے لوگ

Poet: Ahmad Faraz By: Dr Ansari, Sukkur

Suna Hai Log Ussay Aankh Bhar K Daikhtay Hain
So Us K Shehar Mein Kuch Din Theher K Daikhtay Hain

Suna Hai Rabt Hai Us Ko Kharaab Haloon Say
So Apnay Aap Ko Barbaad Kar K Daikhtay Hain

Suna Hai Dard Ki Gaahak Hai Chashm-E-Naaz Us Ki
So Hum Bhi Us Ki Gali Say Guzar K Daikhtay Hain

Suna Hai Us Ko Bhi Hai Shair-O-Shaeri Say Shughaff
So Hum Bhi Moujazzay Apnay Hunar K Daikhtay Hain

Suna Hai Bolay Tu Batoon Say Phool Jhartay Hain
Yeh Baat Hai Tu Chalo Baat Kar K Daikhtay Hain

Suna Hai Raat Ussay Chaand Takta Rehta Hai
Sitaaray Baam-E-Falak Say Utar K Daikhtay Hain

Suna Hai Din Ko Ussay Titleiyaan Sataati Hain
Suna Hai Raat Ko Jugnoo Theher K Daikhtay Hain

Suna Hai Hashar Hain Us Ki Ghazaal Si Ankhain
Suna Hai Us Ko Hiran Dasht Bhar K Daikhtay Hain

Suna Hai Raat Say Barh Kar Hain Kaakulain Us Ki
Suna Hai Shaam Ko Saaye Guzar K Daikhtay Hain

Suna Hai Us Ki Seyaah Chashmageen Qayaamat Hai
So Us Ki Surma Farosh Aah Bhar K Daikhtay Hain

Suna Hai Us K Laboon Say Gulaab Jaltay Hain
So Hum Bahaar Pay Ilzaam Dhar K Daikhtay Hain

Suna Hai Aaenaa Tamasel Hai Jabeen Us Ki
Jo Saada Dil Hain Ussay Ban Sanwar K Daikhtay Hain

Suna Hai Jab Say Hamaayel Hain Us Ki Gardan Mein
Mizaaj Aur Hi Laalo-Gohar K Daikhtay Hain

Suna Hai Chashm-E-Tassavur Say Dasht-E-Imkaan Mein
Palang Zaweyey Us Ki Kamar K Daikhtay Hain

Suna Hai Us K Badan Ki Taarash Aisi Hai
Ke Phool Apni Qubaayain Kutar K Daikhtay Hain

Bas Ek Nigaah Say Lut'ta Hai Qaafila Dil Ka
So Reharwaan-E-Tamanna Bhi Dar K Daikhtay Hain

Suna Hai Us K Shabistaan Say Muttassil Hai Behisht
Makeen Idhar K Bhi Jalway Udhar K Daikhtay Hain

Rukay Tu Gardishain Us Ka Tawaaf Karti Hain
Chalay Tu Us Ko Zamaany Theher K Daikhtay Hain

Kisay Naseeb K Be-Pairhan Ussay Dekhay
Kabhi Kabhi Dar-O-Deewaar Ghar K Daikhtay Hain

Kahaaneyaan Hi Sahi Sab Mubalghay Hi Sahi
Agar Woh Khowaab Hai Tabeer Ker K Daikhtay Hain

Ab Is Shehar Mein Thehrain K Kooch Kar Jaayain
Faraz Aaoo Sitaaray Safar K Daikhtay Hain

Rate it:
Views: 813
27 Apr, 2008
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets