Alag Hi Dour Tha
Poet: Shamsul "ShamS" By: Shamsul Hasan, New DelhiAlag Hi Dour Tha
 Jab Tum Thin Main Tha Aur Ishq Tha
 
 Hazaar Rangon Se Suhaani Thin Chandni Raatein
 Chaand Tha Sitaare They Aur Raat Thi
 
 Jugnooun Se Roshan Gulsitaan They
 Hawa Paani Parbat Jharne
 Sab Mai Alag Hi Nasha Tha
 
 Panch Bhi Surili Aawaaz Mai Gungunate They
 Tumhaara Naam Lekar
 
 Khushbooein Bikhri Thin Har Shay Mai
 Chahal Pahal Ka Mousam Tha Har Soo Mai
 
 Kitni Dilkash Thi Wo Mulaqaatein Apni
 Jab Tum Thin Main Tha Aur Ishq Tha
 
 Khuda Jaane Kiski Nazar Lagi Humko
 Ishq Ka Saya Bhi Mere Paas Na Raha
 
 Gham Tanhaai Bebasi Bekhudi Ranj
 Muqaddar-E-Jahaan Ka Naseeb Ho Gaye
 
 Haaye Afsos
 Tum Juda Ho Gaye
 
 Naam-O-Nishaan Hi Na Raha Shahr Mai Mohabbat Ka
 Tum Kya Gaye
 Taqdeer Ki Badal Gayi
 
 Reh Gaya Gham Ke Dariya Mai Simatkar Muqaddar Mera
 Tum Kya Gaye
 Sab Kuch Mujhse Chuta Ek Ek Kar Ke
 
 Tangdili Pareshaaniyan Judaai Ka Bojh
 Tumse Bichadne Ke Baad
 Ye Sab Hai Muqaddar Mai Mere
 
 Thodi Nawajish-E-Karam Reham Ka Saya
 Meri Ghurbat Ki Janib Kar Do
 
 Bohat Tang-Haal Hoon
 Tumhaari Judaai Ke Baad
 
 Guzarish-E-Dil Ki Tamanna Hai Ke Tum Aa Jaao
 
 Lekar Sukoon-E-Khushi Ronakein Tamaam
 Tum Aa Jaao
 Mere Liye
 Bas Tum Aa Jaao.
  






