Bas Itna Bata Do..
Poet: Abrar Gulshan By: Abrar Gulshan, Kotli Azad KashmirMian Dekhti Rahi
 Apni Khirki Se Pura Chand
 Chandani Ko Sath Liye
 Jese Jahank Raha Ho
 Mere Kamre Main,
 Main Gate Se Baher
 Gali Se Guzrti Garian
 Har Aik Ko Dekhti
 Sochti Yeh Ruke Gi
 Ab Horn Ki Aawaz Aaye Gi
 Aane Do Unhain
 Main Nehin Bolo Gi Khud Se Kehti........
 Ap Nehi Lekin
 Thandi Hawa Ke Jhunke
 Mujh Ko Chhoote Huwe
 Kamre Main Hote Rehe Dakhil.....
 Dheere Dheere Gariyan Kam Hui
 Mere Intazar Ki Shama Bhi Madham Hui
 Chandani Bhi Kamra Chhor Ke Chali Gai
 Chand Bhi Agle Safar Pe Chal Diya
 Phir…….
 Phir Subo Ka Tara Jalwagar Huwa
 Deep Meri Chahat Ke Bujhne Lage
 Aur Main Rote Rote
 Apne Bistar Se
 Armanoo Ki Kaliyan Chunti Rahi
 Ik Ik Lamhain Main
 Hazar Motain Dekhin
 Mere Jazboo Ne
 Latak Rahi Thi Intazar Ki Sooli Pe
 Meri Khuwahishoo Ki Barhana Lashain
 Kitne Khayaloo Ki Aahatain
 Darati Rahi Raat Bhar
 Khairiyat To Hai
 Phon Bhi Nehain Kia
 Yaaaa……
 Ya Kisi Aur Zulf-E-Haseena------
 Is Aahat Pe To Kanp Uth'ti
 Ab Aaye Ho...
 To Kya Kahoo...
 Kya Puchhoo …
 Kuch Nehi……
 "Bas Itna Bta Do"(Just Tel)
 Ke Aap
 Kal Raat Kahan They…?
  






