Apne Ghar Se Door Hoon Main Pardes Mai
Ashq Bahata Hoon Aur Eid Manata Hoon
Yaad Bohat Aate Hain Mujhe Ammi Abbu
Quraan Padhkar Mai Khud Ko Behlata Hoon
Wo Bhai Se Pyaar Bhara Mera Jhagda
Yaad Bohat Aata Hai To Ro Leta Hoon
Behana Ka Wo Mujhse Zid Karana Jayaz
Yaad Bohat Aata Hai To Ro Leta Hoon
Wo Mere Sab Yaar Dost Humdard Mere
Door Hain Mujhse Main Khud Ko Samjhata Hoon
Apne Ghar Se Door Hoon Main Pardes Mai
Ashq Bahata Hoon Aur Eid Manata Hoon
Ghar Ka Har Kona Kona Nazar Mai Hai
Dheleez-E-Ghar Hai Rom Rom Mai Basa Hua
Dil Mai Hai Aabaad Wo Beeta Har Ek Pal
Yaadon Ka Mosum Hari Mujhpe Saja Hua
Lamha Lamha Raqs Kiya Karta Hoon Main
Phir Dheere Se Khud Hi Khud Muskaata Hoon
Apne Ghar Se Door Hoon Main Pardes Mai
Ashq Bahata Hoon Aur Eid Manata Hoon
Ye Pardes Ka Mousam Bhi Waisa Hi Hai
Lekin Isme Apno Ka Wo Pyaar Kahaan
Baap Ka Wo Naraazgi Ka Lehza Ghayab
Aur Maa Ke Jaisa Yahaan Doolaar Kahaan
Jab Bhi Milna Hota Hai Apno Se Mujhe
Aankhein Band Karta Hoon Aur Ghar Aa Jaata Hoon
Apne Ghar Se Door Hoon Main Pardes Mai
Ashq Bahata Hoon Aur Eid Manata Hoon
Kya Khoya Kya Paaya Maine Ye Bharam Bhi Hai
Lamhe Lamhe Ka Main Ab Hisaab Lagata Hoon
Padhta Hoon Bas Khaali Kaghaz Ke Tookde
Khat Kheta Hoon Aur Unhe Jalata Hoon
Kya Kya Na Karta Hoon Main Pardes Mai
Main Bas Ghar Jaldi Aa Jaana Chahata Hoon
Apne Ghar Se Door Hoon Main Pardes Mai
Ashq Bahata Hoon Aur Eid Manata Hoon.
Yaad Bohat Aate Hain Mujhe Ammi Abbu
Quraan Padhkar Mai Khud Ko Behlata Hoon