Bichar Jaein Ge Hum Lakin
Humari Yaad Ke Jugnu
Tumhari Shab K Daman Mein
Sitare Ban K Chamkein Ge
Tumhein Bechain Rakhen Ge
Bohat Masroof Rahney K
Bhaney Tum Banao Ge
Bohat Khosish Karo Ge
K Ab Mosam Jo Badlein Ge
Humhri Yaad Na Aaey Gi
Magar Aisa Nahi Ho Ga
Kahin Jo Sard Mosam Mein
December Ki Hawaon Mein
Tumharey Dil K Goshon Mein
Jami Hein Barf Ki Tarah
Wo Yaadein Kesisey Piglein Gi
Kabhi Garmi Ki Tapti Surkh Gahrion Mein
Meray Mazi Ko Socho Ge
To Aankhein Beig Jaein Gi
Ghari Oeechey Ko Darey Gi
Kayi Salon Ki Gumgashta
Humari Yaad Aaey Gi
Bichar Jao Magar Sun Lo
Hamarey Darmian Aisi
Koi To Baat Bhi Hogi
Jese Tum Yaad Rakho Ge
Mujhe Tum Yaad Rakho Ge