Kamal-E-Zabt Ko Mein Khud Bhi Azmaoongi
Mein Apny Hathon Se Us Ki Dulhan Sajaoongi
Supard Kar Ke Mein Usey Chandni Ke Hathon Mein
Mein Apney Ghar Ke Andheron Mein Lot Aaoongi
Wo Kiya Gaya Ke Rufaqat Ke Saarey Lutf Gaye
Mein Kis Se Roothoongi Kisey Manaoongi
Wo Ek Rishta-E-Benaam Bhi Nahi Lakin
Mein Ab Bhi Us Ke Isharoon Pe Sar Jukaoongi
Sama'atton Mein Ghaney Janglon Ki Saansein Hain
Mein Ab Kabhi Teri Awaz Sun Na Paoongi