Add Poetry

Mohabbat

Poet: Faisal Ahmad By: Faisal Ahmad, Islamabad

Har Din Unko Dekh Kar Zindagi Ki Keemat Yaad Aa Jati Thi
Unki Masoomiyat Se Pyaar Karne Ki Himmat Aa Jati Thi
Ab Toh Bas Unki Yaadein Reh Gayi
Kyu Ki Humari Hi Dehleez Pe Aa Kar Humara Dil Chura Kar Le Jaathi Thi

Kya Pata Unhu Ne Kis Tarha Ka Hum Pe Jaadu Kiya Tha
Har Din Har Pal Har Lamha Mohabbat Karna Unhu Ne Sikha Diya Tha
Unke Pyaar Ko Samajhne Me Dher Kya Lag Gayi
Ke Musqurate Musqurate Jhoot Bholna Bhi Unhu Ne Sikha Diya Tha

Jo Pehle Humse Dil Ki Baat Karte The Woh Aaj Doosru Se Poochte Hain Humara Haal
Ab Mohabbat Bhi Chali Gayi Toh Yeh Aam Si Zindagi Lagne Lagi Hain Bekaar
Koi Unse Pooche Ke Humko Khatam Kar Ke Kyu Chale Gaye
Kyu Ke Jab Unka Zikar Ho Jata Hai Toh Moht Ki Yaad Aa Jaati Hain Baar Baar
 

Rate it:
Views: 446
17 Nov, 2016
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets