Add Poetry

Raaz

Poet: Usman Arif By: Usman Arif, Lahore

Mujhe Us Se Muhabbat Hai Mujhe Us se Payar Tha
Zindegi Mein Wo Thi Mujhe Khud Se Payar Tha
Manzil Jab Ik Thi Ye Dekh K Asman Bekarar Tha
Wo Manzil Thi Meri Mujhe Us K Raston Se Payar Tha
Uski Payalo Ka Shor Mujhe Aj Bhi Madhosh Kerta Hai
Meri Sans Jo Thi Meri Her Sans Pe Uska Naam Tha
Haan Mujhe Usse Muhabbat Hai Mujhe Usse Payar Tha
Dill Mein Wo Thi Meri Rooh Tak Jaane Ka Ikhtayar Tha
Uski Umeed Thi Mujhe Itbar Tha
Uski Her Baat Pe Main Jaan Nisar Tha
Ishq Tha Pakizah Hum Ko Rooho Se Payar Tha
Waqat Ne Asi Chaal Chali Jaise Tab Se Baitha Tayar Tha
Kahani Badli Aise Jaise Kahani Mein Moor Ane Ko Tyar Tha
Ab Hawali K Darichay Band Hain Sadion Se
Jis Raah Se Wo Guzarta Ab Wo Rasta Bekar Tha
Usman... Ko Jiss Se Muhabbat Thi Jiss Se Payar Hai
Ab Wo Maano Mitti K Nichay Leta Ik Khawab Hai
 

Rate it:
Views: 396
10 Apr, 2019
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets