Talakh Ayaam Mein Thorra Saa Jo Muskuratay Hain
Tumharay Saath Mein Khud Ko Hum Jeena Seekhatay Hain
Barray Tarikay Hain Un Ko Aazmanay K
Barray Salikay Say Humhen Woh Aazmatay Hain
Kartaas-E-Dill Pay Likhtay Hain Barray Shouq Say Naam Apna
Barray Zouq Say Purzay Phir Hawao'n Mein Urratay Hain
Woh Jo Hain Bikhray Say Routhay Aur Ujrray Say
Guzar Kar Jaa'n Say Apna Pass-E-Wafaa Nibhatay Hain
Kai Tofaan Rakhtay Hain Hum Khamoshi Mein Apni
Kai Sagar Chupkay Say Aankhon Mein Chupatay Hain
Tumhen Maloom Hi Kiya Hain Halaat Udaas Logon K
Aao Aaj Tumhen Hum Sab Kuch Batatay Hain
Aankhen Be-Khuab Rehti Hain Lafaz Be-Awaaz Rehtay Hain
Dill Hasaas Ho Jaen Tu Khud Ko Khud Satatay Hain
Bohat Hi Khoubsurat Hai Jazba Amber Muhabat Ka
Najaanay Log Q Khud Ko Nafrat Mein Jalatay Hain