Tere Sang Bitaya Hua Har Lamha Yaad Ata Hai Mujhko
Chale Aao Ke Yeh Hijr Ki Raatain Bohat Rulaati Hain Mujhko
Tere Aashiyane Ko Jaana, Hum Bhala Kese Aajaye
Tere Sheher Ke Log Bohat Satate Hain Mujhko
Tu Chahe Kitna Hi Chupaa Le, Mein Phir Bhi Janta Hoon
Teri Soch Har Mehwar Yaad Karta Hai Mujhko
Khud Mein Jhaankta Hoon Tou Yeh Khayal Ata Hai
Bin Tere Jeena Bhi Muhaal Lagta Hai Mujhko
Mein Andheron Ki Nagri Ka Kamzor Sa Musafir
Ab Ujaalon Ki Musaaftain Kahan Raas Ati Hain Mujhko
Tere Deed Ki Pyaas Hi Ab Taskeen Deti Hai
Teri Miti Huyi Arzuyain Hi Chain Deti Hain Mujhko
Ae Husnain Tamasha Dekhne Wale Koi Kam Tou Na They
Ruswayiyon Ke Soghaat Diye Tere Apnon Ne Mujhko