Dill Do Tukray Ho Jata Hai Jub Yaad Kisy Ky Aty Hai
Phir Sheesha Toot Kay Girta Hai Jub Yaad Kisy Ky Aty Hai
Sadmaat Ky Lehrain Chalty Hain Or Aankhein Nam Hojaty Hain
Dill Chain Kahein Na Pata Hai Jub Yaad Kisy Ky Aty Hai
Pattay Bhee Toot Kay Girtay Hain Shjer Tanha Reh Jata Hai
Phir Khizza Ka Mausam Ata Hai Jub Yaad Kisy Ky Aty Hai
Hum Yaad Usy Ko Kartay Hain Jo Hum Ko Zakhem Lagata Hai
Dill Sadmo Say Bher Jata Hai Jub Yaad Kisy Ky Aty Hai
Voh Mujh Say Mohabbet Karta Hai Dill Mera Mujh Say Kehta Hai
Yeh Soch Kay Hum Khush Hotay Hain Jub Yaad Kisy Ky Aty Hai
Socho Kay Darya Behtay Hain Main Un Main Doobta Jata Hoon
Achanek Aankhein Khulty Hain Jub Yaad Kisy Ky Aaty Hai
Maasoom Sa Bhola Bhala Sa Voh Chehra Saamnay Ata Hai
Bechain Voh Mujh Ko Rakhta Hai Jub Yaad Kisy Ky Aty Hai
Voh Mujh Say Nazrain Millata Hai Paas Akay Door Hojata Hai
Main Dill Ko Thaam Kay Rakhta Hai Jub Yaad Kisy Ky Aty Hai
Haalaat Keo Aisay Atay Hain Or Hum Main Doory Latay Hain
Mohabbat Utny Berhty Hai Jub Yaad Kisy Ky Aaty Hai
Hum Rate Pay Gher Banatay Hain Bacho Say Khush Hojatay Hain
Gher Toot Kay Phir Gir Jata Hai Jub Yaad Kisy Ky Aaty Hai