Kya Hussain Hai!Na poochiye keh kya Hussain hai Khuda ke deen ka nakhuda, Her ibtida ki ibtidaKaram ki intiha Hussain haiKya Hussain Hai!Na poochiye keh kya Hussain haiKarey joi koi humsari, kisi ki kya majaal haiJahan mein her lehaz se, Hussain bey misaal haiYeh hochuka hai faisla na koi doosra khuda na koi doosra Hussain haiKya Hussain Hai!Na poochiye keh kya Hussain haNaseer e sham per nigah, ki to Hur bana diyajo mer rahey they un ko zindigi ka gur sikha diyathi her taraf jahan sada khula yeh raaz bhi wahanhayat baantta Hussain haiKero gey ker mukhalifat, gham e Hussain ki yahanwoh hashr hoga hashr mein, keh Al Hafeez o Al AmaanJahan bhi chupney jao gay, Kaheen bhi chup na pao gey,keh her jagha mera Hussain haiKya Hussain Hai! Na poochiye keh kya Hussain haiHai jis ki fikr Karbala, Hussain woh doimagh haiyeh panjetan ki anjuman, ka paanchwan chiraagh haiHasan ka pehla humsafar Ali ka doosra pisarImam teesra Hussain haiKya Hussain Hai!Na poochiye keh kya Hussain haiWoh jis ne baandh ker hawa, jala diya bujha diyazameen ko jis ne arsh se, buland martaba diyawoh jisne kayenaat ka nizaam hi badal diyaek aisa maojaza Hussain haiKya Hussain Hai!Na poochiye keh kya Hussain haiKisi ko hosla diya, kisi ko baaksh di seherdiye kisi ko baal o per, kisi ko de diye piserpukaari banda perwari, lughat mein ehl e ishq ki,madad ka tarjumaan Hussain haiKya Hussain Hai!Na poochiye keh kya Hussain haiShaheed e karbala ka gham, jisey bhi nagawaar haiWoh bad-amal hai bad-nasab, usi pe beyshumaar haiArey o dushman e aza, tu mer zara, lehed mein ja,pata chaley ga kya Hussain haiKya Hussain Hai!Na poochiye keh kya Hussain hai..